ek saya mera masiha tha kaun jaane wo kaun tha kya tha wo faqat sahn tak hi aati thi main bhi hujre se kam nikalta tha tujh ko bhula nahin wo shakhs ki jo teri banhon mein bhi akela tha jaan-lewa thin khwahishen warna wasl se intizar achchha tha baat to dil-shikan hai par yaro aql sachchi thi ishq jhuta tha apne mear tak na pahuncha main mujh ko khud par bada bharosa tha jism ki saf-goi ke ba-wasf ruh ne kitna jhut bola tha
Please share if you liked this!!!