ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha

ek suraj tha ki taron ke gharane se utha
aankh hairan hai kya shakhs zamane se utha

kis se puchhun tere aaqa ka pata ai rahwar
ye alam wo hai na ab tak kisi shane se utha

halqa-e-khwab ko hi gird-e-gulu kas dala
dast-e-qatil ka bhi ehsan na diwane se utha

phir koi aks shuaon se na banne paya
kaisa mahtab mere aaina-khane se utha

kya likha tha sar-e-mahzar jise pahchante hi
pas baitha hua har dost bahane se utha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close