ek surat teri banane mein rang masruf hain zamane mein phailti ja rahi hai ye duniya jashn-e-awargi manane mein qatra qatra tapak raha hai dil qissa-e-ashiqi sunane mein kaise kaise wajud raushan hain waqt ke nile shamiyane mein mera paikar mujhe ata kar de kya kami hai tere khazane mein