ek tarik KHala usMein chamakta hawa main

ek tarik khala us mein chamakta hawa main
ye kahan aa gaya hasti se sarakta hua main

shola-e-jaan se fana hota hun qatra qatra
apni aankhon se lahu ban ke tapakta hua main

aagahi ne mujhe bakhshi hai ye nar-e-khud-soz
ek jahannam ki tarah khud mein bhadakta hua main

muntazir hun ki koi aa ke mukammal kar de
chaak par ghumta bal khata darakta hua main

majma ahl-e-haram naqsh-ba-diwar udhar
aur idhar shor machata hua bakta hua main

mere hi dam se mili saat-e-imkan use
waqt ke jism mein dil ban ke dhadakta hua main

be-niyazi se meri aate hue tang ye log
aur logon ki tawajjoh se bidakta hua main

raat ki raat nikal jata hun khud se bahar
apne khwabon ke taaqub mein humakta hua main

aisi yakjai ki mit jae tamiz-e-man-o-tu
mujh mein khilta hua tu tujh mein mahakta hua main

ek to wo husn-e-junun-khez hai aalam mein shuhud
aur ek husn-e-junun-khez ko takta hua main

ek aawaz padi thi ki koi sail-e-hijr?
aan ki aan mein pahuncha tha lapakta hua main

hai kashid-e-sukhan-e-khas wadiat mujh ko
ghumta phirta hun ye itr chhidakta hua main

raaz-e-haq fash hua mujh pe bhi hote hote
khud tak aa hi gaya 'irfan' bhatakta hua main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close