ek tariqa ye bhi hai jab jina ek na-chaari ho

ek tariqa ye bhi hai jab jina ek na-chaari ho
hath bandhe hon sine par dil baiat se inkari ho

jashn-e-zafar ek aur safar ki saat ka dibacha hai
khema-e-shab mein raqs bhi ho aur kuch ki bhi tayyari ho

is se kam par ram-khurdun ka kaun taaqub karta hai
ya banu-e-ku-e-awadh ho ya aahu-e-tatari ho

daim hai sultani hum shahzadon khak-nihadon ki
barq-o-sharar ki masnad ho ya takht-e-baad-e-bahaari ho

hum to raat ka matlab samjhen khwab, sitare, chand, charagh
aage ka ahwal wo jaane jis ne raat guzari ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close