ek tasalsul se raigani hai zindagi bhi ajab kahani hai sar mein sauda naya samaya hai dil mein wahshat wahi purani hai tujh gali mein ghubar ban ke miyan hijr ki khak hum ne chhani hai mujh ko tahlil kar diya pal mein kya ajab marg-e-na-gahani hai dil mein matam-kunan hai halqa-e-gham tere jaane ki soz-khwani hai dasht-e-imkan to ek pal hai magar pa-e-imkan to jawedani hai kis qadar hun shikasta-pa phir bhi khud ko pane ki phir se thani hai