ek tera dard hai tanhai hai ruswai hai tin lafzon mein meri zist simat aai hai zindagi uljhe hue khwab ka ibham kabhi kabhi us shokh ki uthti hui angdai hai kitne pechida hain jazbaat-e-ghazal kya kahiye khama hairan idhar salb ye goyai hai ho wo phulon ka tabassum ki ghazalon ka khiram jo ada aai hai tujh mein wo nikhar aai hai sard si aql ke hamrah rawan hain 'mani' tabish-e-ishq mayassar mayassar hi nahin aai hai