ek to duniya ka karobar hai

ek to duniya ka karobar hai
ishq ka us par alag aazar hai

kaun is ja sahab-e-kirdar hai
har koi bas ghazi-e-guftar hai

subah tak uthti rahi aah-o-fughan
kaun mujh mein sham se bedar hai

ahl-e-dil aae yahan takhir se
ab kahan wo garmi-e-bazar hai

shor mein duba hua hai ghar tamam
aur sannata pas-e-diwar hai

main hua be-lutf us ke qurb se
wo bhi meri shakl se bezar hai

sare dushman ho gae zer-e-nagin
khud se ab wo bar-sar-e-paikar hai

har qadam par ladkhadata hun 'salim'
rasta shayad bahut hamwar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close