ek to tujhse meri zat ko ruswai mili

ek to tujh se meri zat ko ruswai mili
aur phir ye bhi sitam hai ki tu harjai mili

muskuraata hun to honton pe jalan hoti hai
teri chahat mein mujhe karb ki yakjai mili

phir kisi khauf se jazbon ke badan kanp uthe
jab bhi un shabnami aankhon se pazirai mili

ek ye log ki sathi bhi badal lete hain
ek mera dil ki jise zat ki tanhai mili

jis ne dil walon ki basti mein rihaish rakkhi
us siyah-bakht ko barson ki shakebai mili

zahiran sab hi liye phirte hain raushan aankhen
warna kitne hi jinhen ruh ki binai mili

us ki aankhon mein mera nam farozan tha 'niyaz'
jis ke chehre pe mujhe apni shanasai mili


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close