faisla hijr ka manzur bhi ho sakta hai

faisla hijr ka manzur bhi ho sakta hai
aadmi ishq mein majbur bhi ho sakta hai

waqt ke pas nahin zakhm-e-mohabbat ka ilaj
waqt ke sath ye nasur bhi ho sakta hai

ji mein aata hai use hath laga kar dekhun
nur sa lagta hai, wo nur bhi ho sakta hai

apne kandhon pe salibon ko uthae hue hain
ishq-zadon ka ye dastur bhi ho sakta hai

zehn ka kya hai ki bachne ke bahane dhunde
dil to jaanbaz hai, mansur bhi ho sakta hai

sher kahne ka saliqa nahin 'hashim' ko magar
teri tanqid se mashhur bhi ho sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close