falak se chand chaman se gulab le aae

falak se chand chaman se gulab le aae
kahan se koi tumhaara jawab le aae

hazar rang hain husn-o-jamal ke lekin
wo rang aur hai jis ko shabab le aae

ajib turfa-tamasha hai zindagi meri
khushi bhi aae to gham be-hisab le aae

tere khamir mein shamil hai gumrahi warna
falak se kitne payambar kitab le aae

idhar wo tishna-labi hai ki jaan-ba-lab hain hum
udhar wo dast-e-karam par sarab le aae

usi ki aaj bhi rahti hain muntazir aankhen
jo aa bhi jae to sad iztirab le aae

ye sher-goi hai 'akhlaq' koi khel nahin
kare wo mashq jo chhalni mein aab le aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close