falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin

falsafi ko bahs ke andar khuda milta nahin
dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin
marifat khaliq ki aalam mein bahut dushwar hai
shahr-e-tan mein jab ki khud apna pata milta nahin
ghafilon ke lutf ko kafi hai duniyawi khushi
aaqilon ko be-gham-e-uqba maza milta nahin
kashti-e-dil ki ilahi bahr-e-hasti mein ho khair
nakhuda milte hain lekin ba-khuda milta nahin
ghafilon ko kya sunaun dastan-e-ishq-e-yar
sunne wale milte hain dard-ashna milta nahin
zindagani ka maza milta tha jin ki bazm mein
un ki qabron ka bhi ab mujh ko pata milta nahin
sirf zahir ho gaya sarmaya-e-zeb-o-safa
kya tajjub hai jo baatin ba-safa milta nahin
pukhta tabaon par hawadis ka nahin hota asar
kohsaron mein nishan-e-naqsh-e-pa milta nahin
shaikh-sahib barhaman se lakh barten dosti
be-bhajan gae to mandir se tika milta nahin
jis pe dil aaya hai wo shirin-ada milta nahin
zindagi hai talkh jine ka maza milta nahin
log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye
keh do be us ke jawani ka maza milta nahin
ahl-e-zahir jis qadar chahen karen bahs-o-jidal
main ye samjha hun khudi mein to khuda milta nahin
chal base wo din ki yaron se bhari thi anjuman
hae afsos aaj surat-ashna milta nahin
manzil-e-ishq-o-tawakkul manzil-e-ezaz hai
shah sab baste hain yan koi gada milta nahin
bar taklifon ka mujh par bar-e-ehsan se hai sahl
shukr ki ja hai agar hajat-rawa milta nahin
chandni raaten bahaar apni dikhati hain to kya
be tere mujh ko to lutf ai mah-laqa milta nahin
mani-e-dil ka kare izhaar 'akbar' kis tarah
lafz-e-mauzun bahr-e-kashf-e-muddaa milta nahin
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close