fan ki aur zat ki paikar ne sone na diya dil mein jage hue fankar ne sone na diya har taraf tapti hui dhup mere sath gai zer-e-saya kisi diwar ne sone na diya ek masum si surat ko kahin dekha tha phir bhi chashman-e-gunahgar ne sone na diya mere ham-sae mein shayad hai koi mujh jaisa hai jo charcha kisi bimar ne sone na diya kal mere shahr mein ek zulm kuchh aisa bhi hua raat bhar ghairat-e-fankar ne sone na diya jagte rahne ka aaram to kya hum ko bhi chain se shiddat-e-afkar ne sone na diya kal kuchh aisi hi sar-e-bazm meri baat giri kisi pahlu mere pindar ne sone na diya ek dhadka sa laga tha ki sahar-dam kya ho sar pe latki hui talwar ne sone na diya