faraaz-e-be-khudi se tera tishna-lab nahin utra abhi tak us ki aankhon se khumar-e-shab nahin utra zara main soch lun kya kaam us ko aa pada mujh se kabhi wo baam-e-tanhai se be-matlab nahin utra meri pursish ko aa pahuncha hasin banda koi warna falak se aaj tak meri madad ko rab nahin utra sitara sa nazar aata hai upar se jahan pani main khush-fahmi ke is gahre kuen mein kab nahin utra pashemani ke baad us ko giraun kaise nazron se ki jab wo bewafa tha mere dil se tab nahin utra kabhi sartaj mujh be-taj ko sahwan kaha us ne abhi tak mere sar se nashsha-e-mansab nahin utra tamanna hai ki chhedun naghma-e-insaniyat lekin 'qatil' ab tak mere aasab se mazhab nahin utra