faraKH-dast ka ye husn-e-tang-dasti hai

farakh-dast ka ye husn-e-tang-dasti hai
jo ek bund ki manind bahr-e-hasti hai

wo jis ko napiye to thaharti nahin hai kahin
isi zamin pe kul kaenat basti hai

ghata to jhum ke aati hai aae din lekin
jahan barasna ho kam kam wahan barasti hai

zamin karti hai mujh ko ishaara-e-parwaz
meri tamam bulandi rahin-e-pasti hai

ab aur der na kar hashr barpa karne mein
meri nazar tere didar ko tarasti hai

jo gird-o-pesh se main be-niyaz hun 'rahi'
isi mein hosh hai mera isi mein masti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close