fard-e-isyan ko wo siyahi de

fard-e-isyan ko wo siyahi de
jis ki wo zulf bhi gawahi de

be-aman nim-jaan hun meri jaan
mujh ko aaghosh-e-jaan-panahi de

apni zulfon ke sae mein mujh ko
ek shab ki sitara-jahi de

dil ke ujde nagar ko kar aabaad
is dagar ko bhi koi rahi de

main ne tamir qasr-e-shauq kiya
tu ise muzhda-e-tabahi de

bakhshne wale gul-rukhon ko jamal
mujh ko saman-e-khush-nigahi de

main asir-e-guman-e-zulmat hun
etamad-e-sahar-e-nigahi de

mujrim-e-ishq hun mujhe 'sahba'
jo saza de wo be-gunahi de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close