fareb gham hi sahi dil ne aarzu kar li

fareb gham hi sahi dil ne aarzu kar li
bura hi kya hai agar teri justuju kar li

ghalat hai jazba-e-dil par nahin koi ilzam
khushi mili na hamein jab to gham ki khu kar li

bitha ke samne tum ko bahaar mein pi hai
tumhaare rind ne tauba bhi ru-ba-ru kar li

wafa ke nam se darta hun ai shah-e-khuban
tum aae bhi to nazar jaanib subu kar li

kahan se aaenge andaz be-panahi ke
abhi se jeb-e-tamanna agar rafu kar li

zamana de na saka fursat-e-junun 'anjum'
bahut hua to ghadi bhar ko ha-o-hu kar li


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close