fariyaad-e-junun aur hai bulbul ki fughan aur

fariyaad-e-junun aur hai bulbul ki fughan aur
sahra ki zaban aur hai gulshan ki zaban aur

kat jae zaban teri to ho garm zaban aur hai
allah ne di hai tujhe ai shama zaban aur

jannat bhi hai dozakh bhi hai sine mein hamare
ye dagh-e-nihan aur hai ye soz-e-nihan aur

ho jae sach iflas mein sunta hun rahega
do-chaar mahine abhi mah-e-ramazan aur

aaghaz-e-mohabbat mein ye dil khun hua hai
roenge abhi dida-e-khun-naba-fishan aur

duniya mein ab aisa qadar-andaz nahin hai
hote hi hadaf dil ke chadhi un ki kaman aur

jo pite hain pite nahin wo bhi ramzan mein
sunta hun koi band hui mai ki dukan aur

achchha hai rahen ja ke lag donon-jahan se
ushshaq ke rahne ko bane ek jahan aur

pine ka maza jab hai ki munh khum se laga hai
mujh rind se saqi ye kahe jae ki han aur

nikla hai mera nam ki benam-o-nishan hun
mujh sa bhi na hoga koi benam-o-nishan aur

sunta hun musalmanon mein ab mang bahut hai
darta hun mai-e-nab na ho jae garan aur

pahunche dar-o-diwar ko nuqsan to kya gham
rone ke liye lenge kirae ka makan aur

tez aatish-e-sayyal hai pahle se ziyaada
ab aag lagae na zara pir-e-mughan aur

di hum ne jagah dil ko bhi aankhon ke barabar
aankhon mein samate nahin wo ho ke jawan aur

marne ka 'riyaz' apne zara nam na lena
jina abhi mar-mar ke tujhe hai meri jaan aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close