farq jo kuchh hai wo mutrib mein hai aur saz mein hai

farq jo kuchh hai wo mutrib mein hai aur saz mein hai
warna naghma wahi har parda-e-awaz mein hai

tarjuman-e-gham-e-dil kaun hai ashkon ke siwa
ek yahi tar-e-shikasta to mere saz mein hai

murgh-e-azad asiron ko hiqarat se na dekh
in ki taqat bhi tere bazu-e-parwaz mein hai

ek le de ke tamanna hai so wo bhi nakaam
dil mein kya hai jo teri jalwa-gah-e-naz mein hai

dil ko diwana samajh kar na bahut chhedo tum
kahin kuchh kah na uthe ye haram-e-raaz mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close