fasil-e-jism ki unchai se utar jaen to is kharabe se hum log phir kidhar jaen hawa batati hai guzrega karwan koi kuchh aur der isi rah par thahar jaen tamam din to lahu chatta raha suraj hui hai sham chalo apne apne ghar jaen kabhi to koi lahu ke diye jalaega chalo nishan-e-qadam apna chhod kar jaen abhi sada na do kuchh der aur suraj ko ye jitni sukhi hui naddiyan hain bhar jaen ye shash-jihat to bas ek naqsh-e-pa ka waqfa hai tumhin batao kahan aa ke hum thahar jaen 'ayaz' hum ko na apna saki kabhi duniya wahi sada hai taaqub mein hum jidhar jaen