fasl aisi hai ulfat ke daman tale

fasl aisi hai ulfat ke daman tale
hum jalen tum jalo sari duniya jale

tap ke kundan ki manind nikhra junun
jis qadar gham badha badh gae hausle

dil mein phaili hai yun raushni yaad ki
jaise viran mandir mein dipak jale

jashn se meri barbaadiyon ka chalo
dosto aao shishe mein shoala dhale

har-nafas jaise jine ki tazir hai
kitne dushwar hain umr ke marhale

hum ulajhte rahe falsafi ki tarah
aur badhte gae waqt ke masale

mod sakte hain duniya ka rukh aaj hi
aap se kuchh hasin hum se kuchh manchale

waqt mujh se mera hafiza chhin le
aag mein koi yaadon ki kab tak chale

khanda-e-gul se 'sahir' na bahlenge hum
taza-dam mein junun ke abhi walwale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close