faslon ki barf pighlegi mujhe ye dar na tha is se pahle lams ka suraj mere sar par na tha dil ke darwaze pe dastak de raha tha kaun tha ek zara socha koi chehra koi paikar na tha aaine ki zid thi bante jaen chehron ke nuqush warna main bhi kanch ki gudiyon ka saudagar na tha zard thithuri dhup mein pahne hue uryan badan main ne pahchana wo diwana na tha khud-sar na tha is se pahle ya to 'iraj' ne kabhi dekha na chand ya kabhi is tarah pahle chand shoala-gar na tha