faujiyon ke sar to dushman ke sipahi le gae

faujiyon ke sar to dushman ke sipahi le gae
hath jo qimat lagi zill-e-ilahi le gae

jurm mera sirf itna tha ki main mujrim na tha
qaid tak mujh ko subut-e-be-gunahi le gae

ab wahi duniya mein thahre amn-e-alam ke amin
jo aman ki ja tak asbab-e-tabahi le gae

shikwa-e-jalwa-numai sirf un ke lab pe hai
jo teri mahfil mein apni kam-nigahi le gae

tum haram se le gae shab ki siyahi aur hum
mai-kade se bhi ziya-e-subh-gahi le gae

main idhar 'akhlaq' ki taqsim mein masruf tha
log udhar meri ada-e-kaj-kulahi le gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close