faza-e-zehn ki jalti hawa badalne tak main bujh na jaun lihaf-e-ana badalne tak charagh-e-jism mein is bar bujh na jaun main hawa-e-khema-e-shab ki rida badalne tak phir aaj kufe se hijrat bahut zaruri hai palat ke aaenge aab-o-hawa badalne tak ajib log hain duniya teri hawas ke liye tule hue hain khud apna khuda badalne tak kashid karte hain zindan ki wadiyon se umid qafas badalne hain zanjir-e-pa badalne tak usul kanp rahe the badan ki bhatti mein qanaaton ki mukammal faza badalne tak mere lahu ka namak chakh liya hai us ne bhi wo khush rahega bahut zaiqa badalne tak safed barf pe nachi bahaar ji-bhar ke nizam-e-qudrat-e-kohna ki ja badalne tak