faza mein rang se bikhre hain chandni hui hai

faza mein rang se bikhre hain chandni hui hai
kisi sitare ki titli se dosti hui hai

meri tamam riyazat ka ek hasil hai
wahi dua jo tere nam se judi hui hai

main hadse se nikal aai hun magar dekho
zamin ab bhi mere jism par padi hui hai

abhi to tu ne mera hath bhi nahin thama
ye kis khabar se zamane mein sansani hui hai

udasi jonk hai ye khun chus leti hai
ye baat main ne kahin aur bhi suni hui hai

main tere lams ke jadu se khub waqif hun
wo shakh hun jo tere hath par hari hui hai

jo aankhen senk rahe hain unhen khabar hi nahin
yahan pe khwab jale hain to raushni hui hai

main lal rang lagati thi nile khwabon ko
isi liye to ye tabir kasni hui hai

wo mere bare mein kya sochta hai kya malum
khuda se meri mulaqat sarsari hui hai

main pichhle sal ki taswir bhej deti tujhe
magar ye ek taraf se zara jali hui hai

maza to jab hai ki 'injil' hi lage sab ko
nuzul-e-ishq pe jitni bhi shairi hui hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close