fikr o ehsas ke tapte hue manzar tak aa

fikr o ehsas ke tapte hue manzar tak aa
mere lafzon mein utar kar mere andar tak aa

kahin aisa na ho ruk jaen qalam ki sansen
ai meri jaan-e-ghazal apne sukhan-war tak aa

warna khwabon ki tapish tujh ko jala dalegi
meri jagi hui nindon ke samundar tak aa

sard kamre ki sulagti hui tanhai mein
meri sanson se nikal kar mere bistar tak aa

dar-o-diwar moattar hon teri khushbu se
dil mein mat aa magar ek bar mere ghar tak aa

us se kahna hai 'salim' agli mulaqat mein ye
khwab ban kar kabhi aankhon ke muqaddar tak aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close