fikr-o-izhaar mein KHud aane lagi pa-mardi

fikr-o-izhaar mein khud aane lagi pa-mardi
bhuk ki aag ne lahje mein tamazat bhar di

kuchh to hai zist jo waqf-e-mai-o-saghar kar di
warna kis ko hai pasand apne liye bedardi

ishq-e-awara-o-badnam ne izzat rakh li
hum se be-ghar bhi kiya karte hain kucha-gardi

baat to jab hai ki tum kahne lago us ko basant
gul-o-gulzar pe jo aane lagi hai zardi

aap ke jism pe kya khub hai mausam ka libas
hae jo alag samajhte nahin garmi-sardi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close