fuzul shai hun mera ehtiram mat karna

fuzul shai hun mera ehtiram mat karna
faqat dua mujhe dena salam mat karna

kahin ruke to na phir tum ko rasta degi
ye zindagi bhi safar hai qayam mat karna

wo aashna nahin khwabon ki manawiyyat ka
hamare khwab abhi us ke nam mat karna

zaban munh mein hai tar-e-gunah ki surat
tumhaara hukm baja hai kalam mat karna

mera wajud ki hai dana-e-qanaat sa
main ek faqir parinda hun dam mat karna

ye baat sach hai yahan guftugu awam se hai
magar adab ko guzargah-e-am mat karna

'faza' charagh-o-shafaq donon rahzanon ki mataa
jo khair chaho to raste mein sham mat karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close