gai nahin tere zulm-o-sitam ki khu ab tak tapak raha hai meri aankh se lahu ab tak na jaane kab se hai mere labon pe tera nam isi sabab se to tuta nahin wuzu ab tak tamam umr gulistan mein kat gai lekin hua nahin mujhe aur ek rang-o-bu ab tak kisi bhi sher ko hasil hui na zarkhezi main dhundhta raha sahraon mein numu ab tak khuli sarae ke jaisa hai ye badan apna aur is sarae mein chalti rahi hai lu ab tak tasawwuraat ke khemon ko raushni mil jae isi khayal ki hai dil mein aarzu ab tak kiye the 'shauq' jo mere jawan bete ne wo dil ke chaak hue hi nahin rafu ab tak