gal ko sharminda kar ai shoKH gulistan mein aa

gal ko sharminda kar ai shokh gulistan mein aa
lab sin ghunche ka jigar khun karo muskyan mein aa

wahi ek jalwa-numa jag mein hai duja koi nahin
dekh wajib kun sada majma-e-imkan mein aa

zindagi mujh dil-e-murda ki tauhin hai mat ja
dil se gar khush nahin ai shokh meri jaan mein aa

gul dil-e-ghuncha naman tang ho rang-o-bu sin
jab kare yaad tere lab ke tain dhyan mein aa

gar tu mushtaq hai dilbar safar-e-dariya ka
aa ke kar mauj mere dida-e-giryan mein aa

mat mila kar tu raqiban sin sabhi paji hain
dekh kar qadr aapas ka ai sanam shan mein aa

yun mera dil tere kuche ka bala-gardan hai
jyun kabutar ude hai chhatri ke gardan mein aa

gar karo qatl mere dil kun taghaful sin jaan
phir ke dawa na karun hashr ke maidan mein aa

dil-e-'yakru' hai tera pae bandhiya kakul ka
yaad rakh us kun sada mat kabhu nisyan mein aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close