galiyon mein aazar bahut hain ghar mein ji ghabraata hai hangame se sannate tak apna haal tamasha hai bojhal aankhen kab tak aakhir nind ke war bachaengi phir wahi sab kuchh dekhna hoga subh se jo kuchh dekha hai dhup musafir chhanw musafir aae koi koi jae ghar mein baitha soch raha hun aangan hai ya rasta hai aadhi umr ke pas-manzar mein shana-ba-shana gam-ba-gam tu hai ki teri parchhain hai main hun ki mera saya hai hum sahil ki sard hawa mein khwabon se uljhe hain 'farogh' aur hamare nam ka dariya sahra sahra bahta hai