ganwai kis ki tamanna mein zindagi main ne wo kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne tera khayal to hai par tera wajud nahin tere liye to ye mahfil sajai thi main ne tere adam ko gawara na tha wajud mera so apni bekh-kani mein kami na ki main ne hain meri zat se mansub sad-fasana-e-ishq aur ek satar bhi ab tak nahin likhi main ne khud apne ishwa o andaz ka shahid hun main khud apni zat se barti hai be-rukhi main ne mere harif meri yakka-taziyon pe nisar tamam umr halifon se jang ki main ne kharash-e-naghma se sina chhila hua hai mera fughan ki tark na ki naghma-parwari main ne dawa se faeda maqsud tha hi kab ki faqat dawa ke shauq mein sehat tabah ki main ne zabana-zan tha jigar-soz tishnagi ka azab so jauf-e-sina mein dozakh undel li main ne surur-e-mai pe bhi ghaalib raha shuur mera ki har riayat-e-gham zehn mein rakhi main ne gham-e-shuur koi dam to mujh ko mohlat de tamam umr jalaya hai apna ji main ne ilaj ye hai ki majbur kar diya jaun wagarna yun to kisi ki nahin suni main ne raha main shahid-e-tanha nashin-e-masnad-e-gham aur apne karb-e-ana se gharaz rakhi main ne
Please share if you liked this!!!