gar hum ne dil sanam ko diya phir kisi ko kya islam chhod kufr liya phir kisi ko kya kya jaane kis ke gham mein hain aankhen hamari lal ai hum ne go nasha bhi piya phir kisi ko kya aaphi kiya hai apne gireban ko hum ne chaak aaphi siya siya na siya phir kisi ko kya us bewafa ne hum ko agar apne ishq mein ruswa kiya kharab kiya phir kisi ko kya duniya mein aa ke hum se bura ya bhala 'nazir' jo kuchh ki ho saka so kiya phir kisi ko kya
Please share if you liked this!!!