garche is buniyaad-e-hasti ke anasir chaar hain lekin apne nist ho jaane mein sab na-chaar hain dosti aur dushmani hai in butan ki ek si chaar din hain mehrban to chaar din bezar hain ji koi mansur ke jun jaan karte hain fida we sipahi aashiqon ki fauj ke sardar hain ye jo sajti hai katari-dar mashru ki izar marne ke waqt aashiq ke nangi tarwar hain dosti aur pyar ki baaton pe khuban ki na bhul shokh hote hain nipat ayyar kis ke yar hain jo nasha jwani ka utrega to khinchenge khumar ab to khuban sab sharab-e-husn ke sarshaar hain kis tarah chashmon seti jari na ho dariya-e-khun thal na paira 'abru' hum war aur we par hain