garche main ban ke hawa tez bahut tez uda wo bagula tha magar mere taaqub mein raha mujh se kitnon ko usi din ki shikayat hogi ek main hi nahin jis par ye kada waqt pada aur tarik meri rahguzar ko kar de tu magar apni tamanna ke sitare na bujha ab to har waqt wahi itna rulata hai mujhe jis ko jate hue main dekh ke ro bhi na saka tum se chaha tha bahut tark-e-talluq kar lun jaane kyun mujh se meri jaan kabhi aisa na hua umr bhar yaad raha apni wafaon ki tarah ek wo ahd jise aap ne pura na kiya koi suraj to mile koi sahaara to bane chand ka hath mere hath se phir chhut gaya