gard mein aT rahe hain ehsasat

gard mein at rahe hain ehsasat
dhime dhime baras rahi hai raat

jal utha ek charagh-e-sham to kya
bujh gae be-shumar imkanat

hae mazi ki dil-nashin yaaden
hae khunkhar bhediyon ki baraat

chyuntiyan jaise zehan par rengen
uf ye mere latif ehsasat

bhut ban kar mujhe daraati rahin
meri na-afrida takhliqat

kaun aaya mere taaqub mein
wahi fikr-o-khayal ke jinnat

dafatan kis ne qahqaha mara
ye andhere mein kaun hai mere sat

sarsar-e-shab kahan ki patton mein
karb-e-gham se karahti hai hayat

mujh se mujh ko na chhin kar le jae
shahzadi-e-kishwar-e-zulmat

subh jaga to yaad bhi na raha
raat thi chandni ki chandni raat

tuda-e-reg o nakhl-e-khushk-e-chinar
chhup gai kis ki ot mein barsat

ye darakht-e-kuhan lisan-ul-ghaib
aur ye shakh-e-khushk barg-e-nabaat

kya yahi hai 'rais'-amrohwi
ud ke aae hain dur se zarraat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close