garmiyan shoKHiyan kis shan se hum dekhte hain

garmiyan shokhiyan kis shan se hum dekhte hain
kya hi nadaniyan nadan se hum dekhte hain

ghair se bosa-zani aur hamein dushnamen
munh liye apna pashiman se hum dekhte hain

fasl-e-gul ab ki junun-khez nahin sad-afsos
dur hath apna gareban se hum dekhte hain

aaj kis shokh ki gulshan mein hina-bandi hai
sarw raqsan hain gulistan se hum dekhte hain

'akhtar'-e-zar bhi ho mushaf-e-rukh par shaida
fal ye nek hai quran se hum dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close