ghadi-bhar khalwaton ko aanch de kar bujh gaya suraj kisi ke dard ki lai par kahan tak nachta suraj nigahon mein nae andaz se phir raushni hogi jab ug aaega zehnon mein hamare ek naya suraj zamin ka karb auj-e-asman par bhi jhalak uttha nasheb-e-koh par jurat se jab jab aa mila suraj hamare ghar ke aangan mein sitare bujh gae lakhon hamari khwab gahon mein na chamka subh ka suraj shabistan-dar-shabistan zulmaton ki ek yurish hai har ek daman se lipta hai larazta hanpta suraj hamare baam-e-dar se aaj bhi lipti hai tariki hamare aasmanon mein batao kab uga suraj suna di dastan apni jo hum ne be-zaban ho kar misal-e-qatra shabnam bikhar kar ro pada suraj