ghaflaton ka samar uThata hun

ghaflaton ka samar uthata hun
roz taza khabar uthata hun

baat badhti hai tul dene se
so ise mukhtasar uthata hun

ho ke bashinda ek sitare ka
ungliyan chand par uthata hun

chumte hain jise utha kar log
main use chum kar uthata hun

ab kahan aasman chhune ko
zahmat-e-baal-o-par uthata hun

su-e-manzil mein har qadam apna
ek falak chhod kar uthata hun

war karti hai jab palat kar mauj
ehtiyatan bhanwar uthata hun

apni maftuha sar-zaminon par
panw rakhta hun sar uthata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close