ghair-abaad ilaqe ki faza kaisi hai

ghair-abaad ilaqe ki faza kaisi hai
dil se uthti hai jo rah rah ke sada kaisi hai

mere pairon se lipatti hi rahi mauj-e-rawan
ret se kar na saki mujh ko juda kaisi hai

tut kar aai hai lahrai hai chaaron jaanib
ye barasti hi nahin kali ghata kaisi hai

pattiyan dhup mein kumhla gain phike hue rang
chhanw utri hi nahin aab-o-hawa kaisi hai

basi phulon ko na jhulsae to suraj kaisa
taza kaliyan na khilae to saba kaisi hai

kyun nahin girte saron pe ye hawa ke neze
gharq karti hi nahin mauj-e-fana kaisi hai

zard alfaz ka zahrila bhayanak aaseb
mere ghar chhod gai meri sada kaisi hai

shahr-e-afsun mujhe aawaz de patthar kar de
main ise dekh to lun meri khata kaisi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close