ghair hanste hain faqat is liye tal jata hun main bayabanon mein rone ko nikal jata hun josh wahshat ka hua mausam-e-gul aa pahuncha kuchh dinon hosh mein rahta hun sambhal jata hun apni rukhsat hai buton se bhi ab insha-allah dair se su-e-haram aaj hi kal jata hun kucha-e-qatil-e-be-rahm jise kahte hain main wahan daud ke mushtaq-e-ajal jata hun jab nikalne nahin dete hain mujhe zindan se apne aape se main na-chaar nikal jata hun ghair albatta tere panw mein malte hain hina main to aa kar kaf-e-afsos hi mal jata hun main jo rota hun to kahta hai na kar bad-shaguni baat kahta hai wo aisi ki dahal jata hun dost hota hai to hota hai wo dushman ai 'mehr' wo badal jata hai ya kuchh main badal jata hun