gham-e-hayat ke pesh-o-aqab nahin paDhta

gham-e-hayat ke pesh-o-aqab nahin padhta
ye daur wo hai jo sher-o-adab nahin padhta

koi to baat hai rudad-e-khun-e-nahaq mein
kahin kahin se wo padhta hai sab nahin padhta

kisi ka chehra-e-taban ki mah-e-rakhshanda
jo padhne wala hai quran wo kab nahin padhta

wo kaun hai jo tujhe raat din nahin likhta
wo kaun hai jo tujhe roz-o-shab nahin padhta

wo ab to is qadar izhaar-e-haq se darta hai
agar likha ho kahin lab to lab nahin padhta

na jaane in dinon kya ho gaya hai saqi ko
nigah-e-rind mein husn-e-talab nahin padhta

usi ka rang hai 'afsar' usi ki khushbu hai
mera kalam koi be-sabab nahin padhta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close