gham-e-mohabbat hai kar-farma dua se pahle asar se pahle

gham-e-mohabbat hai kar-farma dua se pahle asar se pahle
bata rahi hai ye dil ki dhadkan wo aa rahe hain khabar se pahle

ye kis ke gesu se mang lai nasim nikhat sahar se pahle
faza-e-gulshan udas si thi shamim-e-ambar-asar se pahle

bajae khun mai jhalak rahi hai hamari rag rag se ab to saqi
bahut hi be-kaif zindagi thi khumar-agin nazar se pahle

nazar nazar aks ru-e-jaanan nafas nafas be-khudi ka aalam
hijab yun darmiyan se uttha nazar mili yun nazar se pahle

ghurur viraniyon pe apni abas bayaban ko is qadar hai
riwaj paya hai ye tariqa haqiqatan mere ghar se pahle

ye ahl-e-wahshat ka hausla hai khizan pe qabza hai fasl-e-gul ka
wo badh ke sina-sipar hue hain guman-e-barq-o-sharar se pahle

nuqush-e-sajda pe aaj mere wo naqsh-e-pa sabt kar rahe hain
mere muqaddar ki yawari ka ye naqsh uttha kidhar se pahle

kabhi tasawwur mein aae bhi to ghaneri zulfon ko rukh pe dale
hamari qismat mein sham-e-gham thi numud-e-nur-e-sahar se pahle

jahan ki ranginiyon se ab tak 'waqar' bilkul hi be-khabar the
asir-e-jalwa nazar thi apni shuur-e-zauq-e-nazar se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close