gham-e-ulfat mein dube the ubharna bhi zaruri tha hamein rah-e-mohabbat se guzarna bhi zaruri tha haqiqat samne aai bahut hairat hui mujh ko tere chehre se parde ka utarna bhi zaruri tha hamein manzil ko pana tha tabhi to rah-e-hasti mein hamein pathrile raston se guzarna bhi zaruri tha lutate hi rahe jo kuchh bhi apne pas tha yaro ki khushbu ki tarah apna bikharna bhi zaruri tha hamein wo bhul baithe hain unhen phir yaad kya karna unhen rah-e-mohabbat mein bisarna bhi zaruri tha hamari zindagi mein hadse hote rahe 'ambar' unhen sahte hue apna nikharna bhi zaruri tha