gham-e-zamana nahin ek azab hai saqi

gham-e-zamana nahin ek azab hai saqi
sharab la meri haalat kharab hai saqi

shabab ke liye tauba azab hai saqi
sharab la mujhe pas-e-shabab hai saqi

utha piyala ki gulshan pe phir barasne lagi
wo mai ki jis ka qadah mahtab hai saqi

nikal parda-e-mina se dukhtar-e-raz ko
ghata mein kis liye ye mahtab hai saqi

tu waizon ki na sun mai-kashon ki khidmat kar
gunah sawab ki khatir sawab hai saqi

zamane-bhar ke ghamon ko hai dawat-e-gharra
ki ek jam mein sab ka jawab hai saqi

kalam jis ka hai mearaj 'hafiz'-o-'khayyam'
yahi wo 'akhtar'-e-khana-kharab hai saqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close