gham hazaron dil-e-hazin tanha bojh kitne hain aur zamin tanha bas gae yar shahr mein ja kar rah gae dasht mein hamin tanha apne pyaron ko yaad karta hai aadmi ho agar kahin tanha teri yaadon ka ek hujum bhi hai aaj ki raat main nahin tanha wo kisi bazm mein na aaega gosha-e-dil ka wo makin tanha karobar-e-hayat ka hasil ek daulat hi to nahin tanha dil na ho gar namaz mein hazir hai abas sajda-e-jabin tanha mere arham kabhi to is dil mein ho tera khauf-e-jaguzin tanha mera saman-e-akhirat maula chashm-e-nadim ka ek nagin tanha