gham ke har ek rang se mujhko shanasa kar gaya

gham ke har ek rang se mujh ko shanasa kar gaya
wo mera mohsin mujhe patthar se hira kar gaya

ghurta tha main khala mein to saji thin mahfilen
mera aankhon ka jhapakna mujh ko tanha kar gaya

har taraf udne laga tarik sayon ka ghubar
sham ka jhonka chamakta shahar maila kar gaya

chat li kirnon ne mere jism ki sari mithas
main samundar tha wo suraj mujh ko sahra kar gaya

ek lamhe mein bhare bazar sone ho gae
ek chehra sab purane zakhm taza kar gaya

main usi ke rabte mein jis tarah malbus tha
yun wo daman khinch kar mujh ko barahna kar gaya

raat bhar hum raushni ki aas mein jage 'adim'
aur din aaya to aankhon mein andhera kar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close