gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin nind ka halka gulabi sa khumar aankhon mein tha yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin har taraf diwar-o-dar aur un mein aankhon ke hujum kah sake jo dil ki haalat wo lab-e-goya nahin jurm aadam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza katta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin jaanta hun ek aise shakhs ko main bhi 'munir' gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin