gham ki taswir ban gaya hun main khatir-e-dard-ashna hun main husn hun main ki ishq ki taswir be-khudi tujh se puchhta hun main aah phir dil ki yaad aai hai zarre zarre ko dekhta hun main zabt-e-gham be-sabab nahin 'jazbi' khalish-e-dil badha raha hun main