gham ko baham baham na kije

gham ko baham baham na kije
gar gham hai to gham ka gham na kije

yak nim-nigah hai so bhi kari
kuchh is mein se to kam na kije

go hum hain aashiq-e-wafadar
par itna bhi sitam na kije

be-faeda roiye kahan tak
ab ji mein hai chashm nam na kije

ghairon ke padhane ko mera wasf
is taur se ye karam na kije

go tegh-e-asil hain ye abru
har dam itna bhi kham na kije

gar jam-e-mai 'asar' lage hath
phir khwahish-e-jam-e-jam na kije


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close